gham nahin mujh ko jo waqt-e-imtihan mara gaya
KHush hun tere hath se ai jaan-e-jaan mara gaya
tegh-e-abru se dil-e-ashiq ko milti kya panah
jo chaDha munh par ajal ke be-guman mara gaya
manzil-e-mashuq tak pahuncha salamat kab koi
rahzanon se karwan ka karwan mara gaya
dosti ki tum ne dushman se ajab tum dost ho
main tumhaari dosti mein mehrban mara gaya
zahr se kuchh kam na thi dawat meri ghairon ke sath
kya ghazab hai ghar bala kar mehman mara gaya
dasht-e-ghurbat ranj-e-tanhai hujum-e-dard-o-yas
in balaon mein tera aashiq kahan mara gaya
kya halak-e-ishq tere gesuon ka tha 'asar'
sumbulistan ho gaya hai do-jahan mara gaya
Ghazal
Gham nahin mujhko jo waqt-e-imtihan mara gaya
Imdad Imam Asar