اردو हिंदी
Gham nahin hota hai aazadon ko besh az-yak-nafas | Shaahi Shayari
gham nahin hota hai aazadon ko besh az-yak-nafas

Ghazal

Gham nahin hota hai aazadon ko besh az-yak-nafas

Mirza Ghalib

;

gham nahin hota hai aazadon ko besh az-yak-nafas
barq se karte hain raushan sham-e-matam-KHana hum

mahfilen barham kare hai ganjifa-baz-e-KHayal
hain waraq-gardani-e-nairang-e-yak-but-KHana hum

bawajud-e-yak-jahan hangama paidai nahin
hain charaghan-e-shabistan-e-dil-e-parwana hum

zoaf se hai ne qanaat se ye tark-e-justuju
hain wabaal-e-takiya-gah-e-himmat-e-mardana hum

daim-ul-habs us mein hain lakhon tamannaen 'asad'
jaante hain sina-e-pur-KHun ko zindan-KHana hum

bas-ki hain bad-mast-e-ba-shikan ba-shikan-e-mai-KHana hum
mu-e-shisha ko samajhte hain KHat-e-paimana hum

bas-ki har-yak-mu-e-zulf-afshan se hai tar-e-shua
panja-e-KHurshid ko samjhe hain dast-e-shana hum

mashq-e-az-KHud-raftagi se hain ba-gulzar-e-KHayal
aashna tabir-e-KHwab-e-sabza-e-begana hum

fart-e-be-KHwabi se hain shab-ha-e-hijr-e-yar mein
jun zaban-e-shama dagh-e-garmi-e-afsana hum

sham-e-gham mein soz-e-ishq-e-atish-e-ruKHsar se
par-fashan-e-soKHtan hain surat-e-parwana hum

hasrat-e-arz-e-tamanna yan se samjha chahiye
do-jahan hashr-e-zaban-e-KHushk hain jun shana hum

kashti-e-alam ba-tufan-e-taghaful de ki hain
aalam-e-ab-e-gudaz-e-jauhar-e-afsana hum

wahshat-e-be-rabti-e-pech-o-KHam-e-hasti na puchh
nang-e-baalidan hain jun mu-e-sar-e-diwana hum