gham mujhe hasrat mujhe wahshat mujhe sauda mujhe
ek dil de kar KHuda ne de diya kya kya mujhe
hai husul-e-arzu ka raaz tark-e-arzu
main ne duniya chhoD di to mil gai duniya mujhe
ye namaz-e-ishq hai kaisa adab kis ka adab
apne pa-e-naz par karne bhi de sajda mujhe
kah ke soya hun ye apne iztirab-e-shauq se
jab wo aaen qabr par fauran jaga dena mujhe
subh tak kya kya teri ummid ne tane diye
aa gaya tha sham-e-gham ek nind ka jhoka mujhe
dekhte hi dekhte duniya se main uTh jaunga
dekhti ki dekhti rah jaegi duniya mujhe
jalwa-gar hai is mein ai 'simab' ek duniya-e-husn
jam-e-jam se hai ziyaada dil ka aaina mujhe
Ghazal
Gham mujhe hasrat mujhe wahshat mujhe sauda mujhe
Seemab Akbarabadi