gham mujh se kisi taur sameTa nahin jata
pahra hai meri soch pe bola nahin jata
ab dil ke dhaDakne ki sada bhi nahin aati
aur qarya-e-KHwahish se bhi nikla nahin jata
sajde ke nishanon se jabin zaKHm hui hai
aur tujh se muqaddar mera badla nahin jata
suraj ke nikalne ki KHabar mujh ko bhi karna
zulmat-kada-e-shab mein to Thahra nahin jata
aankhon mein chhupe KHwab bhi chhin jaen na mujh se
is KHauf se rauzan koi khola nahin jata
har rose nasheman pe mere girti hai bijli
ghar mujh se naya rose banaya nahin jata
hum apni anaon ka bharam rakhte hain 'shahnaz'
har baat pe tufan uThaya nahin jata

Ghazal
Gham mujhse kisi taur sameTa nahin jata
Shahnaz Muzammil