اردو हिंदी
Gham mein har lab pe wahi aah-o-buka aati hai | Shaahi Shayari
gham mein har lab pe wahi aah-o-buka aati hai

Ghazal

Gham mein har lab pe wahi aah-o-buka aati hai

Shaukat Thanvi

;

gham mein har lab pe wahi aah-o-buka aati hai
muKHtalif saz hain aur ek sada aati hai

ho ke zindan se jo gulshan ki hawa aati hai
aur diwanon ko diwana bana aati hai

past hoti hai jahan ahl-e-dila ki himmat
us jagah kaam gharibon ki dua aati hai

mujh se har haal mein achchha hai tasawwur mera
kam se kam aap ki taswir bana aati hai

jab jafaon se paDa kaam to sab bhul gae
naz tha hum ko ki hum ko bhi wafa aati hai

dil hai ya saz-e-shikasta hai na jaane kya hai
ek se ek KHush-aind sada aati hai

fursat itni nahin milti ki kabhi ghaur karen
warna har dard ki KHud hum ko dawa aati hai

jam-e-sarshaar idhar hai main hun tauba hai udhar
aur idhar kabe se ek mast ghaTa aati hai

din nikalta hai to aati hai mujhe raat ki yaad
raat aati hai to ek taza bala aati hai

is taraf pa-e-shikasta mein nahin tab-e-safar
us taraf kan mein aawaz-e-dara aati hai

dil mein jo aag bhaDakti hai bujhati hai wo aankh
KHub donon ko laga aur bujha aati hai

aap gumrah hai 'shaukat' meri wahshat lekin
rasta bhulne walon ko bata aati hai