gham mein ahd-e-shabab jata hai
aasman KHak mein milata hai
kaun gul bahr-e-sair aata hai
bagh phula nahin samata hai
arsh par bhi ghubar jata hai
dil jo wahshat mein KHak uData hai
jaan deta hai sabza-e-KHat par
KHizr har roz zahr khata hai
tegh-e-qatil jo ho gai be-ab
zaKHm pani magar churaata hai
zinde marte hain murde jite hain
jab wo rashk-e-masih gata hai
sahar-e-sham-e-wasl hai shab-gor
maut aati hai yar jata hai
achchhi paDti hai jab koi talwar
dahan-e-zaKHm muskuraata hai
KHun-e-ushshaq ka uTha biDa
be-sabab kab wo pan khata hai
jigar-e-sang ho jahan pani
wo wahan mujh ko aazmata hai
tu jo gul hai to main bhi shabnam hun
mujhe hansna tera rulata hai
KHush ye marne se hun mera lasha
gor mein bhi nahin samata hai
lala-e-koh se hua sabit
KHun-e-fariyaad josh khata hai
lakh taqlid kijiye ai 'arsh'
par kab andaz-e-'mir' aata hai
Ghazal
Gham mein ahd-e-shabab jata hai
Meer Kallu Arsh