gham ko wajh-e-hayat kahte hain
aap bhi KHub baat kahte hain
aap se hai wo ya hamin se hai
hum jise kaenat kahte hain
kor-zauqi ki intiha ye hai
log din ko bhi raat kahte hain
ye ghalat kya hai tajarbe ko agar
hasil-e-hadsat kahte hain
bach nikalna fareb-e-hasti se
bas isi ko najat kahte hain
jis mohabbat pe hai madar-e-hayat
us ko bhi be-sabaat kahte hain
wo mere sher hi to hain 'shoala'
jin ko qand-o-nabaat kahte hain
Ghazal
Gham ko wajh-e-hayat kahte hain
Davarka Das Shola