gham ko dil ka qarar kar liya jae
is KHizan ko bahaar kar liya jae
phir junun ko sawar kar liya jae
KHud ko phir tar tar kar liya jae
zindagi ki kaman se nikle
tir ko aar-par kar liya jae
KHud-kushi ko udhaar rakhte hue
maut ka intizar kar liya jae
tajrabon ko bhula ke chahte hain
tujh pe phir e'tibar kar liya jae
ek hi shaKHs to jahan mein hai
KHud ko bhi gar shumar kar liya jae
soch kar is jahan ke bare mein
KHud ko kyun sharmsar kar liya jae
ab to lagta dushmanon ko bhi
doston mein shumar kar liya jae
ashk aankhon mein phir umaD aae
is nadi ko bhi par kar liya jae
patthar auron pe ab nahin uThte
KHud ko hi sangsar kar liya jae
sun ke apne zamir ki aawaz
KHud ko kyun sharmsar kar liya jae
Ghazal
Gham ko dil ka qarar kar liya jae
Rajesh Reddy