gham ko baham baham na kije
gar gham hai to gham ka gham na kije
yak nim-nigah hai so bhi kari
kuchh is mein se to kam na kije
go hum hain aashiq-e-wafadar
par itna bhi sitam na kije
be-faeda roiye kahan tak
ab ji mein hai chashm nam na kije
ghairon ke paDhane ko mera wasf
is taur se ye karam na kije
go tegh-e-asil hain ye abru
har dam itna bhi KHam na kije
gar jam-e-mai 'asar' lage hath
phir KHwahish-e-jam-e-jam na kije
Ghazal
Gham ko baham baham na kije
Meer Asar