gham ki tahzib aziyyat ka qarina sikhen
aao is shahr mein jina hai to jina sikhen
maut aane ki sada lamha-ba-lamha chahen
zist karne ka hunar zina-ba-zina sikhen
har nahin han se baDi hai ye haqiqat samjhen
han bahut sikh chuke ab to koi na sikhen
jhank kar aankhon mein sine mein utar kar dekhen
naqsha-e-dil se koi raaz-e-dafina sikhen
shahr-e-kotah mein sab past-nashin past-nishan
kis ko hamraaz karen kis ka qarina sikhen
falsafa ishq ka asrar fan-o-hikmat ke
KHanqahon se paDhen sina-ba-sina sikhen
dil to aaina hai shaffaf rakhen ai 'shahid'
kyun karen bughz-o-hasad kis liye kina sikhen
Ghazal
Gham ki tahzib aziyyat ka qarina sikhen
Shahid Mahuli