gham ki jab sozish sin mahram howega
chashma-e-KHurshid shabnam howega
yaad lawega kabhi to mujh kun yar
shama bin parwana par kam howega
aashiq o mashuq mein salis hai ishq
sulh ka paigham baham howega
kufr o iman do nadi hain ishq kin
aaKHirash dono ka sangam howega
sarw-qad ke bin abas hai sair-e-bagh
bar-e-gham sin sarw bhi KHam howega
gar kare ahwal-e-shabnam par nazar
rutba-e-KHurshid kya kam howega
kaba-e-ku-e-sanam mein ai 'siraj'
ashk mera aab-e-zamzam howega
Ghazal
Gham ki jab sozish sin mahram howega
Siraj Aurangabadi

