gham ki har ek baat ko ab gham pe chhoD de
is tishnagi ko qatra-e-shabnam pe chhoD de
jo tu ne kar diya hai to is ka hisab rakh
jo hum se ho gaya hai use hum pe chhoD de
KHanjar tha kis ke hath mein bas itna yaad kar
zaKHmon ka dard waqt ke marham pe chhoD de
tu dewta hai sirf ibaadat se kaam rakh
aadam ke har gunah ko aadam pe chhoD de
ab aane wale waqt ka tu intizar kar
mazi ko dur haal ke matam pe chhoD de
mausam pe munhasir hai ye fasl-e-gham-e-hayat
fasl-e-gham-e-hayat ko mausam pe chhoD de
tu apne ghar ko talKHi-e-gham se bacha ke rakh
aalam ki baat wali-e-alam pe chhoD de
Ghazal
Gham ki har ek baat ko ab gham pe chhoD de
Kanval Ziai