gham ki diwar ko main zer-o-zabar kar na saka
ek yahi marka aisa tha jo sar kar na saka
dil wo aazad parinda hai ki jis ko main ne
qaid karna to bahut chaha magar kar na saka
dur itni bhi na thi manzil-e-maqsud magar
yun paDe panw mein chhaale ki safar kar na saka
zindagi meri kaTi ek saza ke manind
chain se duniya mein pal-bhar bhi basar kar na saka
aasman par wo gaya qalb-e-zamin mein utra
kaun sa kaam hai aisa jo bashar kar na saka
baat jaisi bhi ho tasir hai shart-e-lazim
sher wo kya jo kisi dil mein bhi ghar kar na saka
Ghazal
Gham ki diwar ko main zer-o-zabar kar na saka
Tariq Matin