gham ki Dhalwan tak aae to KHushi tak pahunche
aadmi ghaT tak aae to nadi tak pahunche
ishq mein dil ke ilaqe se guzarti hai bahaar
dard ehsas tak aae to nami tak pahunche
uf ye pahre hain ki hain pichhle janam ke dushman
bhanwra gul-dan tak aae to kali tak pahunche
nind mein kis tarah dekhega sahar yar mera
wahm ke chhor tak aae to kaDi tak pahunche
kis ko fursat hai jo harfon ki hararat samjhae
baat aasani tak aae to sabhi tak pahunche
baiThe-baiThe ka safar sirf hai KHwabon ka futur
jism darwaze tak aae to gali tak pahunche
Ghazal
Gham ki Dhalwan tak aae to KHushi tak pahunche
Navin C. Chaturvedi