gham ki be-panahi mein dil ne hausla paya
tirgi ke jangal mein chashma-e-ziya paya
aaftab ka paikar ban gaya badan apna
raushni mein sae ka sehr TuTta paya
khul gai jo aankh apni waqt ki sada sun kar
an-ginat jahanon ka dar khula hua paya
har qadam pe sath apne KHud ko dekhte hain hum
ham-safar koi apna ab na dusra paya
muddaton ke baad un se is tarah mile hain hum
ajnabi koi jaise surat-ashna paya
gard mein hua hai gum qafila zamane ka
aaftab ko apne sae mein paDa paya
le uDi 'nadim' aaKHir zindagi ki tughyani
ruh ke samundar mein jism Dubta paya

Ghazal
Gham ki be-panahi mein dil ne hausla paya
Salahuddin Nadeem