gham ki basti ajib basti hai
maut mahngi hai jaan sasti hai
main use kyun idhar-udhar DhunDun
meri hasti hi us ki hasti hai
aalam-e-shauq hai ajab aalam
aasman par zamin basti hai
jaan de kar jo zindagi pai
main samajhta hun phir bhi sasti hai
gham hai khane ko ashk pine ko
ishq mein kya faragh-e-dasti hai
KHak-sari ki shan kya kahiye
kis qadar auj par ye pasti hai
chaak-e-daman zindagi hai 'ratan'
ye junun ki daraaz-dasti hai
Ghazal
Gham ki basti ajib basti hai
Ratan Pandorwi