gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
tu ne mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin
nind ka halka gulabi sa KHumar aankhon mein tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin
har taraf diwar-o-dar aur un mein aankhon ke hujum
kah sake jo dil ki haalat wo lab-e-goya nahin
jurm aadam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
kaTta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin
jaanta hun ek aise shaKHs ko main bhi 'munir'
gham se patthar ho gaya lekin kabhi roya nahin
Ghazal
Gham ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
Muneer Niyazi