gham ki andheri rahon mein to tum bhi nahin kaam aao ho
kyun be-kar karo ho hujjat aage baat baDhao ho
kyun tham tham kar qadam rakho ho kyun itna ghabrao ho
raat ka sannaTa hai main hun tum kis se sharmao ho
aao apne hath mein le kar hath hamara dekho to
hum ne suna hai tum sab ki qismat ka haal batao ho
pahle pahar jab aa na sake tum aaKHir-e-shab ki fikr hi kya
ab to dil hi sulag uTTha hai ab kyun diya jalao ho
ek dastur sahi duniya ka zaKHmon par lafzon ka Dher
ai logo kuchh samjho bhi ho jo mujh ko samjhao ho
sham nahin Dhalti kisi surat raat nahin kaTti kisi taur
ab to bahut dil ghabrae hai ab to bahut yaad aao ho
hain ahbab bhi ek sarmaya lekin ye bhi yaad rahe
utni hi aanch lagegi 'shaukat' jitna tez alaw ho
Ghazal
Gham ki andheri rahon mein to tum bhi nahin kaam aao ho
Shaukat Pardesi