gham ki tha harif-e-jaan ab harif-e-jaanan hai
ab wo zulf-e-barham hai ab wo chashm-e-giryan hai
wusaton mein daman ki in dinon gareban hai
ham-nafas kahin shayad mausam-e-bahaaran hai
rang-o-bu ke parde mein kaun ye KHiraman hai
har nafas moattar hai har nazar ghazal-KHwan hai
bandagi ye kya jaane dair kya haram kya hai
hum jahan pe hain waiz kufr hai na iman hai
shukriya magar naseh tu ye raaz kya samjhe
jaur-e-barmala un ka iltifat-e-pinhan hai
Ghazal
Gham ki tha harif-e-jaan ab harif-e-jaanan hai
Raaz Muradabadi