gham ke har ek rang se mujh ko shanasa kar gaya
wo mera mohsin mujhe patthar se hira kar gaya
ghurta tha main KHala mein to saji thin mahfilen
mera aankhon ka jhapakna mujh ko tanha kar gaya
har taraf uDne laga tarik sayon ka ghubar
sham ka jhonka chamakta shahar maila kar gaya
chaT li kirnon ne mere jism ki sari miThas
main samundar tha wo suraj mujh ko sahra kar gaya
ek lamhe mein bhare bazar sone ho gae
ek chehra sab purane zaKHm taza kar gaya
main usi ke rabte mein jis tarah malbus tha
yun wo daman khinch kar mujh ko barahna kar gaya
raat bhar hum raushni ki aas mein jage 'adim'
aur din aaya to aankhon mein andhera kar gaya
Ghazal
Gham ke har ek rang se mujhko shanasa kar gaya
Adeem Hashmi