gham ke hathon shukr-e-KHuda hai ishq ka charcha aam nahin
gali gali patthar paDte hon hum aise badnam nahin
wo bhi kya din the jin rozon be-fikri mein sote the
ab kaisi uftad paDi hai chain nahin aaram nahin
dil ke ujaDte hi aankhon ne haif ye aalam dekh liya
jalwa sar-e-rah koi nahin hai koi ba-ru-e-baam nahin
jis ke asar se be-KHud ho kar apne tain hum ruswa hon
mauj-e-mai-gul ke hathon mein aisa koi jam nahin
dil ka rona dil ka khona lakh azab-e-alim sahi
himmat haar ke baiTh hi jaen hum aise nakaam nahin
Ghazal
Gham ke hathon shukr-e-KHuda hai ishq ka charcha aam nahin
Waheed Quraishi