اردو हिंदी
Gham ke bharose kya kuchh chhoDa kya ab tum se bayan karen | Shaahi Shayari
gham ke bharose kya kuchh chhoDa kya ab tum se bayan karen

Ghazal

Gham ke bharose kya kuchh chhoDa kya ab tum se bayan karen

Meeraji

;

gham ke bharose kya kuchh chhoDa kya ab tum se bayan karen
gham bhi ras na aaya dil ko aur hi kuchh saman karen

karne aur kahne ki baaten kis ne kahin aur kis ne kin
karte kahte dekhen kisi ko hum bhi koi paiman karen

bhali buri jaisi bhi guzri un ke sahaare guzri hai
hazrat-e-dil jab hath baDhaen har mushkil aasan karen

ek Thikana aage aage pichhe ek musafir hai
chalte chalte sans jo TuTe manzil ka elan karen

'mir' mile the 'mira-ji' se baaton se hum jaan gae
faiz ka chashma jari hai hifz un ka bhi diwan karen