gham ka suraj kabhi Dhalta hi nahin
aasman rang badalta hi nahin
de diya jata hai qabza dil par
dil to sine se nikalta hi nahin
kahte hain unchi uDanon wale
jo gira phir wo sambhalta hi nahin
hai KHushamad hi se aamad lekin
wo KHushamad se pighalta hi nahin
ganw bhar KHauf-zada hai us se
jo kabhi ghar se nikalta hi nahin
kisi insan ka dil ho ki charagh
be jalae kabhi jalta hi nahin
KHamushi hai to baDi chiz magar
kaam chup rahne se chalta hi nahin
shairi kar ke bhi dekha hai 'shakil'
dil mein kuchh hai jo nikalta hi nahin
Ghazal
Gham ka suraj kabhi Dhalta hi nahin
Shakeel Gwaliari