gham ka sahra na mila dard ka dariya na mila
hum ne marna bhi jo chaha to wasila na mila
muddaton baad jo aaine mein jhanka hum ne
itne chehre the wahan apna hi chehra na mila
qatl kar ke wo ghanimon ko jo wapas aae
apne hi ghar mein unhen koi shanasa na mila
hum bhi ja nikle the suraj ke nagar mein ek din
wo andhera tha wahan apna bhi saya na mila
tishna-lab yun to zamane mein kabhi hum na rahe
pyas jo dil ki bujha deta wo dariya na mila
mil gae hum ko sanam-KHanon mein kitne hi KHuda
DhunDne par koi banda hi KHuda ka na mila
aap ke shahar mein peDon ka nahin koi shumar
do ghaDi rukne ko lekin kahin saya na mila
sabz patton se mila hum ko bahaaron ka suragh
shaKH-e-nazuk pe magar koi shagufa na mila
mustahaq hum teri rahmat ke na hone pae
teri duniya mein koi uzr KHata ka na mila
KHud-numai ke bhi is daur mein hum ko 'sahir'
koi qatil na mila koi masiha na mila
Ghazal
Gham ka sahra na mila dard ka dariya na mila
Sahir Hoshiyarpuri