gham jab un ka diya hua gham hai
haif us aankh par jo pur-nam hai
dil ki aawaz lakh maddham hai
dil ki aawaz mein baDa dam hai
zindagi mein sukun ke talib
zindagi KHud hi mustaqil gham hai
un ke jate hi ye hua mahsus
jaise taron mein raushni kam hai
chain hai tark-e-arzu ke baad
aarzuon ka nam hi gham hai
har nafas maKHzan-e-alam hai 'rais'
shukr hai umr-e-admi kam hai

Ghazal
Gham jab un ka diya hua gham hai
Raees Niyazi