gham is ka kuchh nahin hai ki main kaam aa gaya
gham ye hai qatilon mein tera nam aa gaya
jugnu jale bujhe meri palkon pe subh tak
jab bhi tera KHayal sar-e-sham aa gaya
mahsus kar raha hun main KHushbu ki bazgasht
shayad tere labon pe mera nam aa gaya
kuchh doston ne puchha batao ghazal hai kya
be-saKHta labon pe tera nam aa gaya
main ne to ek lash ki di thi KHabar 'faraaz'
ulTa mujhi pe qatl ka ilzam aa gaya
Ghazal
Gham is ka kuchh nahin hai ki main kaam aa gaya
Tahir Faraz