gham hun jo apne aap mein rista dikhai de
dariya mein Dub kar hi kinara dikhai de
dekho jo ghaur se kabhi chehron ki wahshaten
aabaadiyon mein bhi tumhein sahra dikhai de
suraj ki raushni mein kabhi apni samt dekh
tarikiyon mein kya tujhe saya dikhai de
nazron mein bas gaya mere dil mein utar gaya
surat se ajnabi ki jo apna dikhai de
KHwabon ke sahilon ki taraf dekhta hai kaun
chaDhta hua jo dard ka dariya dikhai de
is shahr-e-be-charagh mein chehra wo chand sa
aae jo apne samne kaisa dikhai de
kohram sa hai sine ke andar macha hua
KHushiyon se bagh bagh ye chehra dikhai de
kya qahr hai jo raunaq-e-mahfil tha ai 'nadim'
wo shaKHs shahar-bhar mein akela dikhai de

Ghazal
Gham hun jo apne aap mein rista dikhai de
Salahuddin Nadeem