اردو हिंदी
Gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso | Shaahi Shayari
gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso

Ghazal

Gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso

Badr-e-Alam Khalish

;

gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso
hai dar-e-dil pe koi sang-e-giran ham-nafaso

risne lagti hain jab aankhon se tezabi yaaden
baat karte hue jalti hai zaban ham-nafaso

dil se lab tak koi kohram sa sannaTa hai
KHud-kalami mujhe le aai kahan ham-nafaso

ek subuk mauj hai ek lauh-e-daraKHshan pe rawan
hai tamashai yahan sara jahan ham-nafaso

kitne masruf hain masrur nahin phir bhi ye log
hai ye kya silsila-e-kar-e-ziyan ham-nafaso

sham tamhid-e-ghazal raat hai takmil-e-ghazal
din nikalte hi nikal jati hai jaan ham-nafaso

rashk-e-mahshar koi qamat to nigahon mein jache
dil mein baqi hai abhi tab-o-tawan ham-nafaso

zinda ho rasm-e-junun kis ki nawa-rezi se
ab raha kaun yahan shoala-ba-jaan ham-nafaso

aaj ki sham ghazal kyun na 'KHalish' se hi sunen
DhunD kar lae koi hai wo kahan ham-nafaso