اردو हिंदी
Gham hote hain jahan zehanat hoti hai | Shaahi Shayari
gham hote hain jahan zehanat hoti hai

Ghazal

Gham hote hain jahan zehanat hoti hai

Javed Akhtar

;

gham hote hain jahan zehanat hoti hai
duniya mein har shai ki qimat hoti hai

akasr wo kahte hain wo bas mere hain
akasr kyun kahte hain hairat hoti hai

tab hum donon waqt chura kar late the
ab milte hain jab bhi fursat hoti hai

apni mahbuba mein apni man dekhen
bin man ke laDkon ki fitrat hoti hai

ek kashti mein ek qadam hi rakhte hain
kuchh logon ki aisi aadat hoti hai