gham hi le de ke meri daulat-e-bedar nahin
ye KHushi bhi hai mayassar koi gham-KHwar nahin
KHud se bhi toD chuka hun main talluq apna
ab meri rah mein hail koi diwar nahin
aisi sunsan kabhi pahle na thi hijr ki raat
dur tak qafila-e-subh ke aasar nahin
baat aasan farawani-e-gham ne kar di
ab mujhe shikwa-e-na-kaami-e-izhaar nahin
zinda rah lun kisi surat to baDi baat hai ye
warna jaan se to guzarna koi dushwar nahin
dam-e-wahshat se rihai nahin mumkin shayad
hun asir apna bhi sirf us ka giraftar nahin
qissa-e-gham bhi wahi main bhi wahi dil bhi wahi
par wo pahla sa KHulus-e-dar-o-diwar nahin

Ghazal
Gham hi le de ke meri daulat-e-bedar nahin
Mushfiq Khwaja