اردو हिंदी
Gham hazaron dil-e-hazin tanha | Shaahi Shayari
gham hazaron dil-e-hazin tanha

Ghazal

Gham hazaron dil-e-hazin tanha

Mohammad Yaqoob Aasi

;

gham hazaron dil-e-hazin tanha
bojh kitne hain aur zamin tanha

bas gae yar shahr mein ja kar
rah gae dasht mein hamin tanha

apne pyaron ko yaad karta hai
aadmi ho agar kahin tanha

teri yaadon ka ek hujum bhi hai
aaj ki raat main nahin tanha

wo kisi bazm mein na aaega
gosha-e-dil ka wo makin tanha

karobar-e-hayat ka hasil
ek daulat hi to nahin tanha

dil na ho gar namaz mein hazir
hai abas sajda-e-jabin tanha

mere arham kabhi to is dil mein
ho tera KHauf-e-jaguzin tanha

mera saman-e-aKHirat maula
chashm-e-nadim ka ek nagin tanha