اردو हिंदी
Gham hai ya KHushi hai tu | Shaahi Shayari
gham hai ya KHushi hai tu

Ghazal

Gham hai ya KHushi hai tu

Nasir Kazmi

;

gham hai ya KHushi hai tu
meri zindagi hai tu

aafaton ke daur mein
chain ki ghaDi hai tu

meri raat ka charagh
meri nind bhi hai tu

main KHizan ki sham hun
rut bahaar ki hai tu

doston ke darmiyan
wajh-e-dosti hai tu

meri sari umr mein
ek hi kami hai tu

main to wo nahin raha
han magar wahi hai tu

'nasir' is dayar mein
kitna ajnabi hai tu