gham hai khane ko ashk pine ko
ye bhi kam kya hai apne jine ko
dil mein hargiz na rakhiye kine ko
aur bhi gham bahut hain jine ko
apne dil mein chhupae phirta hun
main tere dard ke dafine ko
jis ko kahti hai ashk-e-gham duniya
koi dekhe to is nagine ko
mauj-dar-mauj aa rahi hai sada
Dub jaane do ab safine ko
lag mein hai lagao ka andaz
kaun samjhega is qarine ko
sochta hun ki kis se dun tashbih
is jabin par hasin pasine ko
ishq ne kar diya hai mujh ko nihaal
dekhiye dard ke KHazine ko
shikwa bar-haq 'nazir' ye socho
Thes pahunchegi aabgine ko
Ghazal
Gham hai khane ko ashk pine ko
Nazeer Rampuri