gham hai kanTon ka na andesha bayabanon ka
ishq hai rah-numa aaj bhi diwanon ka
ruh tarik nazar kor mohabbat se gurez
kya farishton mein hai shohra inhen insanon ka
lafz jazbaat ki taswir nahin ban sakte
shukr kaise ho ada husn ke ehsanon ka
dil-e-barbaad se karte hain jise hum tabir
isi virane mein ek shahr tha armanon ka
tujh ko is daur mein hai nur-e-haqiqat ki talash
kaun samjhae ki ye daur hai afsanon ka
mujh ko pahlu mein wo dil chahiye jis mein 'shair'
raushni shama ki ho soz ho parwanon ka
Ghazal
Gham hai kanTon ka na andesha bayabanon ka
Shaer Fatahpuri