اردو हिंदी
Gham-ha-e-mohabbat ka asar dekh raha hun | Shaahi Shayari
gham-ha-e-mohabbat ka asar dekh raha hun

Ghazal

Gham-ha-e-mohabbat ka asar dekh raha hun

Jumbish Khairabadi

;

gham-ha-e-mohabbat ka asar dekh raha hun
bikhre hue daman pe guhar dekh raha hun

ai husn-e-ruKH-e-yar jidhar dekh raha hun
ek hasb-e-taKHayyul o nazar dekh raha hun

ek nur ki duniya hai meri shauq ki manzil
har zarre ko KHurshid-e-nazar dekh raha hun

tum aur abhi husn ke pardon ko uThao
main aaj had-e-tab-e-nazar dekh raha hun

har aah sharar-KHez hai murghan-e-qafas ki
daman-e-fughan shoala-asar dekh raha hun

yun kakul-o-ruKH apne tasawwur mein hain 'jumbish'
ek marhala-e-sham-o-sahar dekh raha hun