gham-fursati-e-KHwab-e-tarab yaad rahegi
guzri jo tere sath shab yaad rahegi
har-chand tera ahd-e-wafa bhul gae hum
wo kashmakash-e-sabr-talab yaad rahegi
sine mein umangon ka wahi shor hai ab tak
wo shoKHi-e-yak-jumbish-e-lab yaad rahegi
phir jis ke tasawwur mein barasne lagin aankhen
wo barhami-e-sohbat-e-shab yaad rahegi
go hijr ke lamhat bahut talKH the lekin
har baat ba-unwan-e-tarab yaad rahegi
Ghazal
Gham-fursati-e-KHwab-e-tarab yaad rahegi
Nasir Kazmi