gham faraham hain magar un ki farawani nahin
ai giran-jaani yahan koi bhi aasani nahin
chaar-su ek barf-basta ahd-e-nam ka raj hai
dhup mein hiddat nahin dariyaon mein pani nahin
yaad hai kya kaam hai is shahr ka kya nam hai
sab kuchh us jaisa hai lekin aasman dhani nahin
zindagi ke dukh azal se zindagi ke sath hain
log fani hain magar logon ke dukh fani nahin
zindagi bhar sirf use puja magar ghar baiTh kar
pasdaran-e-wafa ka kaam darbani nahin
ek shajar ke koi do patte bhi ek jaise na the
meri duniya mein kisi shai ka koi sani nahin
Ghazal
Gham faraham hain magar unki farawani nahin
Khalid Ahmad