اردو हिंदी
Gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi | Shaahi Shayari
gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi

Ghazal

Gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi

Akhtar Shirani

;

gham-e-zamana nahin ek azab hai saqi
sharab la meri haalat KHarab hai saqi

shabab ke liye tauba azab hai saqi
sharab la mujhe pas-e-shabab hai saqi

uTha piyala ki gulshan pe phir barasne lagi
wo mai ki jis ka qadah mahtab hai saqi

nikal parda-e-mina se duKHtar-e-raz ko
ghaTa mein kis liye ye mahtab hai saqi

tu waizon ki na sun mai-kashon ki KHidmat kar
gunah sawab ki KHatir sawab hai saqi

zamane-bhar ke ghamon ko hai dawat-e-gharra
ki ek jam mein sab ka jawab hai saqi

kalam jis ka hai mearaj 'hafiz'-o-'KHayyam'
yahi wo 'aKHtar'-e-KHana-KHarab hai saqi