gham-e-ulfat mere chehre se ayan kyun na hua
aag jab dil mein sulagti thi dhuan kyun na hua
sail-e-gham rukta nahin zabt ki diwaron se
josh-e-girya tha to main girya-kunan kyun na hua
kahte hain husn KHad-o-KHal ka paband nahin
har hasin shai pe mujhe tera guman kyun na hua
dasht bhi is ke makin shahr bhi is mein aabaad
tu jahan aan base dil wo makan kyun na hua
ye samajhte hue maqsud-e-nazar hai tu hi
main tere husn ki jaanib nigaran kyun na hua
is se pahle ki tere lams ki KHushbu kho jae
tujh ko pa lene ka arman jawan kyun na hua
tapte sahra to meri manzil-e-maqsud na the
main kahin ham-safar-e-abr-e-rawan kyun na hua
ajnabi par to yahan lutf siwa hota hai
main bhi is shahr mein benam-o-nishan kyun na hua
na-rasai thi mere shauq ka hasil to 'shakeb'
hail-e-rah koi sang-e-giran kyun na hua
Ghazal
Gham-e-ulfat mere chehre se ayan kyun na hua
Shakeb Jalali