gham-e-ulfat mein Dube the ubharna bhi zaruri tha
hamein rah-e-mohabbat se guzarna bhi zaruri tha
haqiqat samne aai bahut hairat hui mujh ko
tere chehre se parde ka utarna bhi zaruri tha
hamein manzil ko pana tha tabhi to rah-e-hasti mein
hamein pathrile raston se guzarna bhi zaruri tha
luTate hi rahe jo kuchh bhi apne pas tha yaro
ki KHushbu ki tarah apna bikharna bhi zaruri tha
hamein wo bhul baiThe hain unhen phir yaad kya karna
unhen rah-e-mohabbat mein bisarna bhi zaruri tha
hamari zindagi mein hadse hote rahe 'ambar'
unhen sahte hue apna nikharna bhi zaruri tha
Ghazal
Gham-e-ulfat mein Dube the ubharna bhi zaruri tha
Amber Joshi