gham-e-mohabbat sata raha hai gham-e-zamana masal raha hai
magar mere din guzar rahe hain magar mera waqt Tal raha hai
wo abr aaya wo rang barse wo kaif jaga wo jam khanke
chaman mein ye kaun aa gaya hai tamam mausam badal raha hai
meri jawani ke garm lamhon pe Dal de gesuon ka saya
ye dopahar kuchh to moatadil ho tamam mahaul jal raha hai
ye bhini bhini si mast KHushbu ye halki halki si dil-nashin bu
yahin kahin teri zulf ke pas koi parwana jal raha hai
na dekh o mah-jabin meri samt itni masti-bhari nazar se
mujhe ye mahsus ho raha hai sharab ka daur chal raha hai
'adam' KHarabaat ki sahar hai ki bargah-e-rumuz-e-hasti
idhar bhi suraj nikal raha hai udhar bhi suraj nikal raha hai
Ghazal
Gham-e-mohabbat sata raha hai gham-e-zamana masal raha hai
Abdul Hamid Adam