gham-e-mohabbat mein dil ke daghon se ru-kash-e-lala-zar hun main
faza bahaarin hai jis ke jalwon se wo harif-e-bahaar hun main
khaTak raha hun har ek ki nazron mein bach ke chalti hai mujh se duniya
zahe giran-bari-e-mohabbat ki dosh-e-hasti pe bar hun main
kahan hai tu wada-e-wafa kar ke o mere bhul jaane wale
mujhe bacha le ki paemal-e-qayamat-e-intizar hun main
teri mohabbat mein mere chehre se hai numayan jalal tera
hun tere jalwon mein mahw aisa ki tera aaina-dar hun main
wo husn-e-be-iltifat ai 'tajwar' hua iltifat-farma
to zindagi ab suna rahi hai ki umr-e-be-etibar hun main
Ghazal
Gham-e-mohabbat mein dil ke daghon se ru-kash-e-lala-zar hun main
Tajvar Najibabadi