gham-e-mazi gham-e-hazir gham-e-farda ke siwa
zindagi kuchh bhi nahin KHun-e-tamanna ke siwa
dekhte dekhte hi naw kahan Dub gai
kis ko malum hai tughyani-e-dariya ke siwa
un se rudad-e-sitam kahiye to kyun kar kahiye
jin ko kuchh yaad nahin shikwa-e-beja ke siwa
mere is haal-e-pareshan ki KHabar kis ko nahin
sab pe zahir hai haqiqat ye masiha ke siwa
mushkilen TuT paDin jab bhi hawadis ki tarah
koi apna na hua ek dil-e-tanha ke siwa
panw mein jitne bhi chhaale the sabhi phuT paDe
koi samjha na mere dard ko sahra ke siwa
'arsh' kal raat jo mahfil mein hue hangame
jaanta kaun hai wo saghar-o-sahba ke siwa
Ghazal
Gham-e-mazi gham-e-hazir gham-e-farda ke siwa
Arsh Sahbai