gham-e-jahan ke fasane talash karte hain
ye fitna-gar to bahane talash karte hain
rabab-e-amn-o-sukun ke hasin taron mein
shikast-e-dil ke tarane talash karte hain
ye intiha hai junun-e-has-parasti ki
parae ghar mein KHazane talash karte hain
nae nizam ki buniyaad toDne wale
wafa-shiar purane talash karte hain
sitam-nawaz dilon ko jo sazgar na ho
'shakil' hum wo zamane talash karte hain
Ghazal
Gham-e-jahan ke fasane talash karte hain
Shakeel Badayuni