gham-e-jaanan se dil manus jab se ho gaya mujh ko
hansi achchhi nahin lagti KHushi achchhi nahin lagti
yaqinan zulm ki har baat sun kar kahne wale se
kahega ye har achchha aadmi achchhi nahin lagti
gali teri buri lagti nahin thi jaan-e-jaan lekin
nahin hai jab se tu teri gali achchhi nahin lagti
KHushi se maut aae ab mujhe marna gawara hai
gae wo jab se mujh ko zindagi achchhi nahin lagti
na chheDo ham-nashinon sham-e-gham 'purnam' ko rone do
musibat mein kisi ki dil-lagi achchhi nahin lagti
Ghazal
Gham-e-jaanan se dil manus jab se ho gaya mujhko
Purnam Allahabadi