gham-e-jaanan mein samo kar gham-e-dauran hum ne
do fasanon ko diya ek hi unwan hum ne
gham se ghabra ke jo ki koshish-e-darman hum ne
aur bhi kanTon mein uljha liya daman hum ne
dekhen kya hota hai tajdid-e-nasheman ka saman
muntaKHab ki hai phir ek shaKH-e-gulsitan hum ne
gham se bachne ke liye waza kiye the jo usul
kar diye nazuki-e-waqt pe qurban hum ne
aaj 'muKHtar' asir-e-gham-e-dauran hai wo dil
jis ko samjha tha harif-e-gham-e-dauran hum ne
Ghazal
Gham-e-jaanan mein samo kar gham-e-dauran humne
Mukhtar Hashmi