gham-e-jaanan ke siwa kuchh hamein pyara na hua
hum kisi ke na hue koi hamara na hua
kya usi ka hai wafa nam-e-mohabbat hai yahi
mehrban hum pe kabhi wo sitam-ara na hua
lakh tufan-e-hawadis ne qadam tham liye
meri ghairat ko palaTna bhi gawara na hua
dil wahi dil hai haqiqat ki nazar mein ai dil
sard jis dil mein mohabbat ka sharara na hua
DhunDhta aaega kal ahl-e-mohabbat ko yahi
gham nahin aaj zamana jo hamara na hua
ahl-e-duniya ne masarrat hi masarrat chahi
hum ko is gham ke siwa kuchh bhi gawara na hua
jaan di hai dil-e-KHuddar ne kis mushkil se
aaj baalin pe wo KHud-bin-o-KHud-ara na hua
aankh su-e-haram-o-dair kabhi uTh jati
ishq ki rah mein ye bhi to gawara na hua
KHak chhani chaman-o-dasht ki barson 'faizi'
aah taskin-e-nazar koi nazara na hua
Ghazal
Gham-e-jaanan ke siwa kuchh hamein pyara na hua
Faizi Nizam Puri