gham-e-jaan tu hai agar rahat-e-jaan hai tu hai
hum ne ye jaan liya jaan-e-jahan hai tu hai
wo KHaridar jo KHwahan ho mata-e-dil ka
kis ko batlaun wo dil-KHwah kahan hai tu hai
said-e-dil ek bhi jaan-bar tere hathon na hua
nawak-andaz jo be-tir-o-kaman hai tu hai
dil-e-benam-o-nishan par mere jun naqsh-e-nagin
nam ka jis ke numudar nishan hai tu hai
sham-e-fanus tujhe kahiye ki har majlis mein
hai nihan parde mein aur saf ayan hai tu hai
kya kahun ai dil-e-jaan-kah meri chhati par
us ki furqat mein jo ek koh-e-giran hai tu hai
chhoD ke zoaf mein tanha tu na jawe gham-e-dost
ab mere ji mein jo kuchh tab-o-tawan hai tu hai
chaman-e-dahr mein nargis ki tarah dida-e-zar
jis ke didar ki KHatir nigaran hai tu hai
kis ko shirin kahun ab jis ki hai KHun-e-farhad
ju-e-KHun har mizha mere se rawan hai tu hai
sirf bulbul hi nahin nara-zanan gulshan mein
gul bhi jis gul ke liye jama-daran hai tu hai
kare tasir 'muhib' dil mein wahin samea ke
pur-asar jis ki mohabbat ka bayan hai tu hai
Ghazal
Gham-e-jaan tu hai agar rahat-e-jaan hai tu hai
Waliullah Muhib