gham-e-jaan gum gham-e-duniya mein to hona mushkil
hai samundar ko samundar mein samona mushkil
nind jis ne bahut aankhon se uDa rakkhi thi
ye hua kya ki hua us ko bhi sona mushkil
har sifat apni kahan deta hai gul KHushbu ko
KHwab dil ke meri aawaz mein hona mushkil
yun zamin zaiqa-e-KHun se hui hai manus
is mein ab fasl-e-mohabbat ki hai bona mushkil
kal hamein milne hain jo gham wo abhi mil jaen
aankh pathrai to ho jaega rona mushkil
waqt ko khelne insan se do ji bhar ke
phir 'kamal' us ko hai milna ye khilauna mushkil
Ghazal
Gham-e-jaan gum gham-e-duniya mein to hona mushkil
Hasan Akbar Kamal