اردو हिंदी
Gham-e-insan se jo dil shoala-ba-jaan hota hai | Shaahi Shayari
gham-e-insan se jo dil shoala-ba-jaan hota hai

Ghazal

Gham-e-insan se jo dil shoala-ba-jaan hota hai

Anand Narayan Mulla

;

gham-e-insan se jo dil shoala-ba-jaan hota hai
wahi har daur mein memar-e-jahan hota hai

dil mein rahraw ke agar azm-e-jawan hota hai
gam bhaTka bhi to manzil ka nishan hota hai

honT sine se siwa soz-e-nihan hota hai
shoala deta hai to kuchh aur dhuan hota hai

nara-e-haq ko dabaate hain khuli bazm mein jab
ye kisi gosha-e-zindan mein jawan hota hai

kaun patthar hai guhar kaun parakhne ki hai baat
dekhne hi se ye andaza kahan hota hai

ishq mein shukr-o-shikayat mein koi farq nahin
apna apna alag andaz-e-bayan hota hai

main bhi insaf ka KHwahan hun magar ai malik
teri duniya mein ab insaf kahan hota hai

kaun sa hai ye mohabbat mein maqam ai 'mulla'
kalma-e-lutf bhi ab dil pe garan hota hai